subah subah ik ḳhvāb kī dastak par darvāza khulā' dekhā
sarhad ke us paar se kuchh mehmān aa.e haiñ
āñkhoñ se mānūs the saare
chehre saare sune sunā.e
paañv dhue, haath dhulā.e
āñgan meñ aasan lagvā.e
aur tannūr pe makkī ke kuchh moTe moTe roT pakā.e
poTlī meñ mehmān mire
pichhle sāloñ kī fasloñ kā guḌ laa.e the
aañkh khulī to dekhā ghar meñ koī nahīñ thā
haath lagā kar dekhā to tannūr abhī tak bujhā nahīñ thā
aur hoñToñ par mīThe guḌ kā zā.iqa ab tak chipak rahā thā
ḳhvāb thā shāyad!
ḳhvāb hī hogā!!
sarhad par kal raat, sunā hai chalī, thī golī
sarhad par kal raat, sunā hai
kuchh ḳhvāboñ kā ḳhuun huā thaa,
subah subah ek KHwab ki dastak par darwaza khula' dekha
sarhad ke us par se kuchh mehman aae hain
aankhon se manus the sare
chehre sare sune sunae
panw dhue, hath dhulae
aangan mein aasan lagwae
aur tannur pe makki ke kuchh moTe moTe roT pakae
poTli mein mehman mere
pichhle salon ki faslon ka guD lae the
aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha
hath laga kar dekha to tannur abhi tak bujha nahin tha
aur honTon par miThe guD ka zaiqa ab tak chipak raha tha
KHwab tha shayad!
KHwab hi hoga!!
sarhad par kal raat, suna hai chali, thi goli
sarhad par kal raat, suna hai
kuchh KHwabon ka KHun hua tha,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.