mujh ko bhī tarkīb sikhā koī yaar julāhe
aksar tujh ko dekhā hai ki taanā bunte
jab koī taagā TuuT gayā yā ḳhatm huā
phir se bāñdh ke
aur sirā koī joḌ ke us meñ
aage bunñe lagte ho
tere is taane meñ lekin
ik bhī gāñTh girah buntar kī
dekh nahīñ saktā hai koī
maiñ ne to ik baar bunā thā ek hī rishta
lekin us kī saarī girheñ
saaf nazar aatī haiñ mere yaar julāhe!
mujh ko bhi tarkib sikha koi yar julahe
aksar tujh ko dekha hai ki tana bunte
jab koi taga TuT gaya ya KHatm hua
phir se bandh ke
aur sira koi joD ke us mein
aage bunne lagte ho
tere is tane mein lekin
ek bhi ganTh girah buntar ki
dekh nahin sakta hai koi
main ne to ek bar buna tha ek hi rishta
lekin us ki sari girhen
saf nazar aati hain mere yar julahe!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.