Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu zaban

Gulzar

urdu zaban

Gulzar

ye kaisā ishq hai urdu zabāñ kaa,

mazā ghultā hai lafzoñ zabāñ par

ki jaise paan meñ mahñgā qimām ghultā hai

ye kaisā ishq hai urdu zabāñ kaa....

nasha aatā hai urdu bolne meñ

gilaurī tarah haiñ muñh lagī sab istelāheñ

lutf detī hai, halaq chhūtī hai urdu to, halaq se jaise mai ghoñT utartā hai

baḌī aristocracy hai zabāñ meñ

faqīrī meñ navābī mazā detī hai urdu

agarche ma.anī kam hote hai urdu meñ

alfāz ifrāt hotī hai

magar phir bhii, buland āvāz paḌhiye to bahut mo'tabar lagtī haiñ bāteñ

kahīñ kuchh duur se kānoñ meñ paḌtī hai agar urdu

to lagtā hai ki din jāḌoñ ke haiñ khiḌkī khulī hai, dhuup andar aa rahī hai

ajab hai ye zabāñ, urdu

kabhī kahīñ safar karte agar koī musāfir sher paḌh de 'mīr', 'ġhālib'

vo chāhe ajnabī ho, yahī lagtā hai vo mere vatan hai

baḌī shā.ista lahje meñ kisī se urdu sun kar

kyā nahīñ lagtā ki ek tahzīb āvāz hai, urdu

ye kaisa ishq hai urdu zaban ka,

maza ghulta hai lafzon ka zaban par

ki jaise pan mein mahnga qimam ghulta hai

ye kaisa ishq hai urdu zaban ka

nasha aata hai urdu bolne mein

gilauri ki tarah hain munh lagi sab istelahen

lutf deti hai, halaq chhuti hai urdu to, halaq se jaise mai ka ghonT utarta hai

baDi aristocracy hai zaban mein

faqiri mein nawabi ka maza deti hai urdu

agarche mani kam hote hai urdu mein

alfaz ki ifraat hoti hai

magar phir bhi, buland aawaz paDhiye to bahut hi mo'tabar lagti hain baaten

kahin kuchh dur se kanon mein paDti hai agar urdu

to lagta hai ki din jaDon ke hain khiDki khuli hai, dhup andar aa rahi hai

ajab hai ye zaban, urdu

kabhi kahin safar karte agar koi musafir sher paDh de 'mir', 'ghaalib' ka

wo chahe ajnabi ho, yahi lagta hai wo mere watan ka hai

baDi shaista lahje mein kisi se urdu sun kar

kya nahin lagta ki ek tahzib ki aawaz hai, urdu

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now