gum-shuda KHayal ka tazkira
Interesting Fact
(Sutuur, Delhi)
bhaḌak bhaḌak ke sadāoñ ne rah dikhā.ī mujhe
hazār sang-e-safar ham-safar bane bigḌe
ye aarzū hai ki ḳhvāhish kā koī phal na gire
musāfirat ke samundar meñ sab ko tanhā karūñ
vo mujh se chhuptā phire aur maiñ us ko dekhā karūñ
numā.ish-e-ġham-e-sahrā meñ us pe saayā karūñ
ba-rang-e-ḳhvāb ruke pāniyoñ ko chakkhā karūñ
parā.e bāġhoñ pe abr-e-ravāñ kā saaya rahe
khulā ho sahn havā ḳhvāhishoñ kī baat sune
udhaḌtā rang mahakte guloñ meñ ḳhuun bhare
jise maiñ DhūñD rahā huuñ use koī na mile
ye ek lamha Thahar jaa.e ḳhatm raat na ho
safar se lauTūñ to koī bhī mere saat na ho
bhaDak bhaDak ke sadaon ne rah dikhai mujhe
hazar sang-e-safar ham-safar bane bigDe
ye aarzu hai ki KHwahish ka koi phal na gire
musafirat ke samundar mein sab ko tanha karun
wo mujh se chhupta phire aur main us ko dekha karun
numaish-e-gham-e-sahra mein us pe saya karun
ba-rang-e-KHwab ruke paniyon ko chakkha karun
parae baghon pe abr-e-rawan ka saya rahe
khula ho sahn hawa KHwahishon ki baat sune
udhaDta rang mahakte gulon mein KHun bhare
jise main DhunD raha hun use koi na mile
ye ek lamha Thahar jae KHatm raat na ho
safar se lauTun to koi bhi mere sat na ho
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 41)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.