gum-shuda lamhe ki talash
kisī aañkh ke papoToñ ke
khulne aur band hone ke darmiyān
ek raushnī kā āsmān
apnī chhab dikhā ke kahīñ gum ho gayā hai
aur maiñ kabhī
apnī aañkh kī putliyoñ ke
jāgte hue añdheroñ meñ
use DhūñDtī huuñ
aur kabhī khulī aañkh ke qalam se
likhe ga.e aks meñ
use tarāshtī huuñ
magar
vo raushnī kā āsmān
mujhe mil nahīñ rahā hai
kisi aankh ke papoTon ke
khulne aur band hone ke darmiyan
ek raushni ka aasman
apni chhab dikha ke kahin gum ho gaya hai
aur main kabhi
apni aankh ki putliyon ke
jagte hue andheron mein
use DhunDti hun
aur kabhi khuli aankh ke qalam se
likhe gae aks mein
use tarashti hun
magar
wo raushni ka aasman
mujhe mil nahin raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.