gum-shuda log
gum-shuda log āḳhir kahāñ jaate haiñ
shaam hote hī panchhī bhī lauT aate haiñ
raat aate hī taare nikal aate haiñ
chāñd Duube to vo bhī ubhar aate haiñ
shab Dhale āftābī ziyā TuuT aatī hai
aur āñdhiyāñ jitnī marzī chaleñ āḳhir-e-kār ruktī haiñ
jitnī bhī kaalī ghaTā.eñ Darā.eñ
magar āsmānoñ se bādal bhī chhaT jaate haiñ
gum-shuda log bādal ghaTā chāñd tāroñ
parindoñ havā ke yahāñ aate haiñ
gum-shuda log phir se kahāñ aate haiñ
gum-shuda log aaKHir kahan jate hain
sham hote hi panchhi bhi lauT aate hain
raat aate hi tare nikal aate hain
chand Dube to wo bhi ubhar aate hain
shab Dhale aaftabi ziya TuT aati hai
aur aandhiyan jitni marzi chalen aaKHir-e-kar rukti hain
jitni bhi kali ghaTaen Daraen
magar aasmanon se baadal bhi chhaT jate hain
gum-shuda log baadal ghaTa chand taron
parindon hawa ke yahan aate hain
gum-shuda log phir se kahan aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.