gum-shuda manzil
ka.ī baar aisā huā hai
ki jab terī yādoñ ke jangal meñ
maiñ rāsta bhuul baiThā
bhaTaktā rahā sub.h se shaam tak
shaam se sub.h tak
aur thak haar kar
maiñ ne ā.īna dekhā
to dil ko qarār aa gayā hai
ki tū aa.ine meñ
mire sāmne hī khaḌā hai
kai bar aisa hua hai
ki jab teri yaadon ke jangal mein
main rasta bhul baiTha
bhaTakta raha subh se sham tak
sham se subh tak
aur thak haar kar
main ne aaina dekha
to dil ko qarar aa gaya hai
ki tu aaine mein
mere samne hi khaDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.