gum-shuda manzilen
hazār baar yahī baat dil meñ uThtī hai
jo ho rahā hai ye pahle bhī ho chukā hai kabhī
ye band āñkhoñ se kyā āsmāñ sā dikhtā hai
bhalā ye raushnī sī mujh meñ kyoñ utartī hai
kahīñ pahuñch ke ka.ī baar ye bhī lagtā hai
ki jaise pahle bhī aa.ī huuñ is jagah pe kabhī
tum us jagah the khaḌe haañ vahīñ zarā aage
idhar maiñ baiThī thī chup-chāp ek patthar par
abhī jo baat kahī hai kahī thī tab bhī yahī
kabhī kabhī to mire saath ye bhī hotā hai
ki koī vāqi.a hone se pahle dikhtā hai
jahāñ maiñ pahle kisī taur bhī ga.ī hī nahīñ
vahāñ bhī pahuñchī huuñ aksar maiñ apne ḳhvāboñ meñ
aur itnī baar ki har chiiz us Thikāne kī
hai merī yaad meñ shāmil kuchh is tarah jaise
ki merā un se ta'alluq koī purānā ho
shu.ūr aur mire lā-shu.ūr kā ye safar
kahāñ kahāñ se na jaane abhī ye guzregā
na jaane kaun sī manzil pe jā ke Thahregā
agar chhalāvā hai koī to kyoñ chhalāvā hai
agar hai rābta to kis ke saath hai āḳhir
hazār baar yahī baat dil meñ uThtī hai
hazar bar yahi baat dil mein uThti hai
jo ho raha hai ye pahle bhi ho chuka hai kabhi
ye band aankhon se kya aasman sa dikhta hai
bhala ye raushni si mujh mein kyon utarti hai
kahin pahunch ke kai bar ye bhi lagta hai
ki jaise pahle bhi aai hun is jagah pe kabhi
tum us jagah the khaDe han wahin zara aage
idhar main baiThi thi chup-chap ek patthar par
abhi jo baat kahi hai kahi thi tab bhi yahi
kabhi kabhi to mere sath ye bhi hota hai
ki koi waqia hone se pahle dikhta hai
jahan main pahle kisi taur bhi gai hi nahin
wahan bhi pahunchi hun aksar main apne KHwabon mein
aur itni bar ki har chiz us Thikane ki
hai meri yaad mein shamil kuchh is tarah jaise
ki mera un se ta'alluq koi purana ho
shuur aur mere la-shuur ka ye safar
kahan kahan se na jaane abhi ye guzrega
na jaane kaun si manzil pe ja ke Thahrega
agar chhalawa hai koi to kyon chhalawa hai
agar hai rabta to kis ke sath hai aaKHir
hazar bar yahi baat dil mein uThti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.