gum-shuda raste
sā.at-e-ḳhud-garī ḳhud-shanāsī
rifāqat mohabbat ke vo jāgte qāfile
jo mah-o-sāl kī gard meñ aT ga.e the
ab bhī ik gum-shuda rāste par ravāñ haiñ
ham-navā.ī ke vo rāt-din
vaqt kī gahrī andhī
guphāoñ se uTh kar
mere atrāf yuuñ jam.a hone lage haiñ
jaise mujhe mujh se mirī be-hisī kā gila kar rahe hoñ
pūchhte hoñ
ki kyā mausamoñ ke aTal dā.ere
soz-e-dil kī bhī zanjīr-e-pā haiñ
umr-e-rafta ke kis biite lamhe se pūchhūñ
vo bedār rāteñ
pur-asrār shāmeñ
guhar-bār sub.heñ
vo mānūs jazboñ se sarshār bāteñ
jo pas-e-parda-e-dard-e-dil
ab bhī soī nahīñ haiñ
vaqt ke rāste par agar
khulī aañkh kā ḳhvāb thiiñ
vāhima thiiñ
to dil se ufuq tak
ye jaltī huī surḳh tahrīr kyuuñ hai
saat-e-KHud-gari KHud-shanasi
rifaqat mohabbat ke wo jagte qafile
jo mah-o-sal ki gard mein aT gae the
ab bhi ek gum-shuda raste par rawan hain
ham-nawai ke wo raat-din
waqt ki gahri andhi
guphaon se uTh kar
mere atraf yun jama hone lage hain
jaise mujhe mujh se meri be-hisi ka gila kar rahe hon
puchhte hon
ki kya mausamon ke aTal daere
soz-e-dil ki bhi zanjir-e-pa hain
umr-e-rafta ke kis bite lamhe se puchhun
wo bedar raaten
pur-asrar shamen
guhar-bar subhen
wo manus jazbon se sarshaar baaten
jo pas-e-parda-e-dard-e-dil
ab bhi soi nahin hain
waqt ke raste par agar
khuli aankh ka KHwab thin
wahima thin
to dil se ufuq tak
ye jalti hui surKH tahrir kyun hai
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 36)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.