gum-shuda waqt
sirf terī talāsh rahtī hai
aks har vaqt aa ke terā hī
man ke āñgan meñ raqs kartā hai
jaise koī udaas sī ḳhushbū
mere tan-man meñ phail jaatī hai
lauT jaatī huuñ apne maazī meñ
terī yādeñ tire ḳhayāl liye
vo sabhī din mirī vo sab rāteñ
yaad aatī haiñ terī sab bāteñ
vaqt phir aa ke tham sā jaatā hai
dhaḌkaneñ dil kī ruk sī jaatī haiñ
phir achānak saham sī jaatī huuñ
TuuT kar maiñ bikhar sī jaatī huuñ
hasrateñ apnī apne ḳhvāboñ ko
is tarah phir sameT letī huuñ
terī yādeñ lapeT letī huuñ
baiTh kar phir ye sochtī huuñ maiñ
gum-shuda vaqt lauTtā hai kyā
sirf teri talash rahti hai
aks har waqt aa ke tera hi
man ke aangan mein raqs karta hai
jaise koi udas si KHushbu
mere tan-man mein phail jati hai
lauT jati hun apne mazi mein
teri yaaden tere KHayal liye
wo sabhi din meri wo sab raaten
yaad aati hain teri sab baaten
waqt phir aa ke tham sa jata hai
dhaDkanen dil ki ruk si jati hain
phir achanak saham si jati hun
TuT kar main bikhar si jati hun
hasraten apni apne KHwabon ko
is tarah phir sameT leti hun
teri yaaden lapeT leti hun
baiTh kar phir ye sochti hun main
gum-shuda waqt lauTta hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.