Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gumbad-numa shaffaf shisha

Rafiq Sandelvi

gumbad-numa shaffaf shisha

Rafiq Sandelvi

MORE BYRafiq Sandelvi

    gumbad-numā shaffāf shīsha

    mohaddab

    biich se ubhrā huā

    gumbad-numā

    shaffāf shīsha

    jis meñ se chīzeñ

    baḌī ma.alūm hotī haiñ

    ye dekho

    ek chyūñTī

    hasht-pā makḌe sūrat

    chal rahī hai

    os qatra

    musaffā hauz ke mānind

    sākin lag rahā hai

    ret zarra

    pahāḌī tarah

    aflāk ko chhūtā huā mahsūs hotā hai

    ghane paanī meñ

    jarsūme jumbish par

    gumāñ hotā hai

    jaise sher ne añgḌā.ī ho!

    hāla-e-ḳhurd o kalāñ meñ

    umr bhar

    chhoTā baḌā karne ke chakkar meñ

    bañdhī rahtī haiñ nazreñ

    ek qubbā-dār manzar meñ

    azal se jāntī haiñ

    bulbula

    putliyoñ sard mehrābeñ

    jab is gumbad-numā

    shaffāf shīshe se guzar kar

    ek markaz par

    shuā.eñ jam.a hoñgī

    sāmne jo chiiz hogī

    jal uThegī!!

    gumbad-numa shaffaf shisha

    mohaddab

    bich se ubhra hua

    gumbad-numa

    shaffaf shisha

    jis mein se chizen

    baDi malum hoti hain

    ye dekho

    ek chyunTi

    hasht-pa makDe ki surat

    chal rahi hai

    os ka qatra

    musaffa hauz ke manind

    sakin lag raha hai

    ret ka zarra

    pahaDi ki tarah

    aflak ko chhuta hua mahsus hota hai

    ghane pani mein

    jarsume ki jumbish par

    guman hota hai

    jaise sher ne angDai li ho!

    haala-e-KHurd o kalan mein

    umr bhar

    chhoTa baDa karne ke chakkar mein

    bandhi rahti hain nazren

    ek qubba-dar manzar mein

    azal se jaanti hain

    bulbula si

    putliyon ki sard mehraben

    jab is gumbad-numa

    shaffaf shishe se guzar kar

    ek markaz par

    shuaen jama hongi

    samne jo chiz hogi

    jal uThegi!!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now