gunah ka matam
dil pe jo tārīk sā ik aks hai
nafs ke ifrīt kā saayā nahīñ
kar chukā hai vaar mujh par ek baar
ab vo is niyyat se phir aaya nahīñ
phañs ke us ke panja-e-saffāk meñ
mujh se jo sarzad huā thā ik gunāh
aaj aaya hai vahī dil ke qarīb
bahr-e-mātam oḌh kar raḳht-e-siyāh
dil pe jo tarik sa ek aks hai
nafs ke ifrit ka saya nahin
kar chuka hai war mujh par ek bar
ab wo is niyyat se phir aaya nahin
phans ke us ke panja-e-saffak mein
mujh se jo sarzad hua tha ek gunah
aaj aaya hai wahi dil ke qarib
bahr-e-matam oDh kar raKHt-e-siyah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.