kachchī miTTī ke āñgan meñ
taaq badar
patthar pe dharā
ma.asūm diyā
aadhe raushan
aadhe tārīkī meñ Duube
ik insāñ ne
shab kī aamad par
ek sitāre kā iimā pā kar
apne atāq-e-tīra ke
ik ūñche taaq meñ
us ko ujālā thā
barfāb siyāhī ne shab kī
kānoñ meñ us ke
aisī kyā sargoshī kī
ki us kā diyā us ne kaalā kambal oḌhā
aur taaq badar kar ke
kachchī miTTī ke āñgan meñ chhoḌā
patthar pe dharā
ma.asūm diyā
kachchi miTTi ke aangan mein
taq badar
patthar pe dhara
masum diya
aadhe raushan
aadhe tariki mein Dube
ek insan ne
shab ki aamad par
ek sitare ka ima pa kar
apne ataq-e-tira ke
ek unche taq mein
us ko ujala tha
barfab siyahi ne shab ki
kanon mein us ke
aisi kya sargoshi ki
ki us ka diya us ne kala kambal oDha
aur taq badar kar ke
kachchi miTTi ke aangan mein chhoDa
patthar pe dhara
masum diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.