gunah
pūchhtā huuñ
jab kabhī maiñ in farishtoñ se
ki likhā kyā hai tum ne
haal mere un gunāhoñ kā
jinheñ maiñ roz kartā huuñ
to zālim
kuchh batāte hī nahīñ haiñ
haañ magar vo
haal mere un gunāhoñ kā sunāte haiñ
jinheñ bhūle se bhī
maiñ ne kabhī sochā nahīñ hai
puchhta hun
jab kabhi main in farishton se
ki likha kya hai tum ne
haal mere un gunahon ka
jinhen main roz karta hun
to zalim
kuchh batate hi nahin hain
han magar wo
haal mere un gunahon ka sunate hain
jinhen bhule se bhi
main ne kabhi socha nahin hai
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 118)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.