gunahgar
ai sogvār yaad bhī hai tujh ko yā nahīñ
vo raat jab hayāt kī zulfeñ darāz thiiñ
jab raushnī ke narm kañval the bujhe bujhe
jab sā.at-e-abad kī laveñ nīm-bāz thiiñ
jab saarī zindagī kī ibādat-guzāriyāñ
terī gunāhgār nazar kā javāz thiiñ
ik Dūbte hue ne kisī ko bachā liyā
ik tiira zindagī ne kisī ko nigāh dī
har lamha apnī aag meñ jalne ke bāvajūd
har lamha zamharīr-e-mohabbat ko raah dī
ham ne to tujh se duur kī hamdardiyāñ dikhā.īñ
tū ne kisī se rasm-e-vafā bhī nibāh dī
ai sogwar yaad bhi hai tujh ko ya nahin
wo raat jab hayat ki zulfen daraaz thin
jab raushni ke narm kanwal the bujhe bujhe
jab saat-e-abad ki lawen nim-baz thin
jab sari zindagi ki ibaadat-guzariyan
teri gunahgar nazar ka jawaz thin
ek Dubte hue ne kisi ko bacha liya
ek tera zindagi ne kisi ko nigah di
har lamha apni aag mein jalne ke bawajud
har lamha zamharir-e-mohabbat ko rah di
hum ne to tujh se dur ki hamdardiyan dikhain
tu ne kisi se rasm-e-wafa bhi nibah di
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Qaba-e-Saaz) (Pg. 106)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.