maut bandūq liye phirtī hai
galī-kūchoñ meñ dandanātī hai
kaan meñ sīTiyāñ bajātī hai
āsmāñ naak par uThātī huī
Thokaroñ se zamīñ uḌātī huī
taḳhtiyāñ ġhaur se paḌhtī hai sab makānoñ kī
gāliyāñ baktī guzartī hai har mohalle se
rezgārī bhī churātī hai roz galle se
maut bandūq liye phirtī hai
koī ghar se nikal nahīñ paatā
us ke Dar se nikal nahīñ paatā
baḌī dahshat hai us kī ghar ghar meñ
maut jaise ki galī kā daadā
jo kisī dūsre mohalle se
bhatta lene ko jo aayā to palaT kar na gayā
rose galiyoñ meñ aa nikaltī hai
sab dukānoñ meñ parchī girtī hai
maut bandūq liye phirtī hai
maut banduq liye phirti hai
gali-kuchon mein dandanati hai
kan mein siTiyan bajati hai
aasman nak par uThati hui
Thokaron se zamin uDati hui
taKHtiyan ghaur se paDhti hai sab makanon ki
galiyan bakti guzarti hai har mohalle se
rezgari bhi churaati hai roz galle se
maut banduq liye phirti hai
koi ghar se nikal nahin pata
us ke Dar se nikal nahin pata
baDi dahshat hai us ki ghar ghar mein
maut jaise ki gali ka dada
jo kisi dusre mohalle se
bhatta lene ko jo aaya to palaT kar na gaya
rose galiyon mein aa nikalti hai
sab dukanon mein parchi girti hai
maut banduq liye phirti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.