gurez-pa
dhīre dhīre gir rahī thiiñ naḳhl-e-shab se chāñdnī kī pattiyāñ
bahte bahte abr kā TukḌā kahīñ se aa gayā thā darmiyāñ
milte milte rah ga.ī thiiñ maḳhmalīñ sabze pe do parchhā.iyāñ
jis tarah sapne ke jhūle se koī andhe kueñ meñ jā gire
nā-gahāñ kajlā ga.e the sharmagīñ āñkhoñ ke nūrānī diye
jis tarah shor-e-jaras se koī vāmāñda musāfir chauñk uThe
yak-ba-yak ghabrā ke vo niklī thī mere bāzuoñ kī qaid se
ab sulagte rah ga.e the, chhin gayā thā jaam bhī
aur merī bebasī par hañs paḌī thī chāñdnī
aaj tak ehsās kī chilman se uljhā hai ye mub.ham sā savāl
us ne āḳhir kyuuñ bunā thā bahkī nazroñ se hasīñ chāhat kā jaal
dhire dhire gir rahi thin naKHl-e-shab se chandni ki pattiyan
bahte bahte abr ka TukDa kahin se aa gaya tha darmiyan
milte milte rah gai thin maKHmalin sabze pe do parchhaiyan
jis tarah sapne ke jhule se koi andhe kuen mein ja gire
na-gahan kajla gae the sharmagin aankhon ke nurani diye
jis tarah shor-e-jaras se koi wamanda musafir chaunk uThe
yak-ba-yak ghabra ke wo nikli thi mere bazuon ki qaid se
ab sulagte rah gae the, chhin gaya tha jam bhi
aur meri bebasi par hans paDi thi chandni
aaj tak ehsas ki chilman se uljha hai ye mubham sa sawal
us ne aaKHir kyun buna tha bahki nazron se hasin chahat ka jal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.