gurez
mirā junūn-e-vafā hai zavāl-āmāda
shikast ho gayā terā fusūn-e-zebā.ī
un ārzūoñ pe chhā.ī hai gard-e-māyūsī
jinhoñ ne tere tabassum meñ parvarish paa.ī
fareb-e-shauq ke rañgīñ tilism TuuT ga.e
haqīqatoñ ne havādis se phir jilā paa.ī
sukūn-o-ḳhvāb ke parde sarakte jaate haiñ
dimāġh-o-dil meñ haiñ vahshat kī kār-farmā.ī
vo taare jinmeñ mohabbat kā nuur tābāñ thā
vo taare Duub ga.e le ke rañg-o-ra.anā.ī
sulā ga.ī thiiñ jinheñ terī multafit nazreñ
vo dard jaag uThe phir se le ke añgḌā.ī
ajiib ālam-e-afsurdagī hai rū-ba-faroġh
na jab nazar ko taqāzā na dil tamannā.ī
tirī nazar tire gesū tirī jabīñ tire lab
mirī udās-tabī.at hai sab se uktā.ī
maiñ zindagī ke haqā.eq se bhaag aayā thā
ki mujh ko ḳhud meñ chhupā.e tirī fusūñ-zā.ī
magar yahāñ bhī ta.āqub kiyā haqā.eq ne
yahāñ bhī mil na sakī jannat-e-shakebā.ī
har ek haath meñ le kar hazār ā.īne
hayāt band darīchoñ se bhī guzar aa.ī
mire har ek taraf ek shor guuñj uThā
aur us meñ Duub ga.ī ishratoñ kī shahnā.ī
kahāñ talak kare chhup-chhup ke naġhma-pairā.ī
vo dekh sāmne ke pur-shikoh aivāñ se
kisī kirā.e kī laḌkī kī chīḳh Takrā.ī
vo phir samāj ne do pyaar karne vāloñ ko
sazā ke taur par baḳhshī tavīl tanhā.ī
phir ek tīra-o-tārīk jhoñpaḌī ke tale
sisakte bachche pe beva kī aañkh bhar aa.ī
vo phir bikī kisī majbūr kī javāñ beTī
vo phir jhukā kisī dar par ġhurūr-e-barnā.ī
vo phir kisānoñ ke majme.a pe gun-mashīnoñ se
huqūq-yāfta tabqe ne aag barsā.ī
sukūt-e-halqa-e-zindāñ se ek guuñj uThī
aur is ke saath mire sāthiyoñ kī yaad aa.ī
nahīñ nahīñ mujhe yuuñ multafit nazar se na dekh
nahīñ nahīñ mujhe ab tāb-e-naġhma-pairā.ī
mirā junūn-e-vafā hai zavāl-āmāda
shikast ho gayā terā fusūn-e-zebā.ī
mera junun-e-wafa hai zawal-amada
shikast ho gaya tera fusun-e-zebai
un aarzuon pe chhai hai gard-e-mayusi
jinhon ne tere tabassum mein parwarish pai
fareb-e-shauq ke rangin tilism TuT gae
haqiqaton ne hawadis se phir jila pai
sukun-o-KHwab ke parde sarakte jate hain
dimagh-o-dil mein hain wahshat ki kar-farmai
wo tare jinmen mohabbat ka nur taban tha
wo tare Dub gae le ke rang-o-ranai
sula gai thin jinhen teri multafit nazren
wo dard jag uThe phir se le ke angDai
ajib aalam-e-afsurdagi hai ru-ba-farogh
na jab nazar ko taqaza na dil tamannai
teri nazar tere gesu teri jabin tere lab
meri udas-tabiat hai sab se uktai
main zindagi ke haqaeq se bhag aaya tha
ki mujh ko KHud mein chhupae teri fusun-zai
magar yahan bhi taaqub kiya haqaeq ne
yahan bhi mil na saki jannat-e-shakebai
har ek hath mein le kar hazar aaine
hayat band darichon se bhi guzar aai
mere har ek taraf ek shor gunj uTha
aur us mein Dub gai ishraton ki shahnai
kahan talak kare chhup-chhup ke naghma-pairai
wo dekh samne ke pur-shikoh aiwan se
kisi kirae ki laDki ki chiKH Takrai
wo phir samaj ne do pyar karne walon ko
saza ke taur par baKHshi tawil tanhai
phir ek tira-o-tarik jhonpaDi ke tale
sisakte bachche pe bewa ki aankh bhar aai
wo phir biki kisi majbur ki jawan beTi
wo phir jhuka kisi dar par ghurur-e-barnai
wo phir kisanon ke majmea pe gun-mashinon se
huquq-yafta tabqe ne aag barsai
sukut-e-halqa-e-zindan se ek gunj uThi
aur is ke sath mere sathiyon ki yaad aai
nahin nahin mujhe yun multafit nazar se na dekh
nahin nahin mujhe ab tab-e-naghma-pairai
mera junun-e-wafa hai zawal-amada
shikast ho gaya tera fusun-e-zebai
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 317)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.