gurez
un se milne kī tamanna dil-e-betāb na kar
sochtā huuñ ki mohabbat kī jahāñ qadr nahīñ
jazb-e-dil jazba-e-ulfat kī jahāñ qadr nahīñ
aise māhaul se behtar hai kinārā kar luuñ
mahfileñ chhoḌ ke tanhā.ī gavārā kar luuñ
un se milne kī tamanna dil-e-betāb na kar
jis ko mā'lūm nahīñ pyaar kī manzil kyā hai
jis ko ehsās nahīñ dard-bharā dil kyā hai
aise be-dard zamāne ke nazāroñ ko salām
bevafā husn kī rangīn bahāroñ ko salām
un se milne kī tamanna dil-e-betāb na kar
ahl-e-dil kushta-e-uftād-e-zamāna hoñ jahāñ
bā-vafā tīr-e-malāmat kā nishāna hoñ jahāñ
aisī rāhoñ meñ vafāoñ kā guzar kyā mā'nī
in ḳhalāoñ meñ mohabbat kā safar kyā mā'nī
un se milne kī tamanna dil-e-betāb na kar
kaun kahtā hai ki hālāt badal jā.eñge
kaun kahtā hai ki din-rāt badal jā.eñge
ruuh ehsās ke bojhoñ se dabī jaatī hai
zindagī dard ke sāñche meñ Dhalī jaatī hai
un se milne kī tamanna dil-e-betāb na
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
sochta hun ki mohabbat ki jahan qadr nahin
jazb-e-dil jazba-e-ulfat ki jahan qadr nahin
aise mahaul se behtar hai kinara kar lun
mahfilen chhoD ke tanhai gawara kar lun
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
jis ko ma'lum nahin pyar ki manzil kya hai
jis ko ehsas nahin dard-bhara dil kya hai
aise be-dard zamane ke nazaron ko salam
bewafa husn ki rangin bahaaron ko salam
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
ahl-e-dil kushta-e-uftad-e-zamana hon jahan
ba-wafa tir-e-malamat ka nishana hon jahan
aisi rahon mein wafaon ka guzar kya ma'ni
in KHalaon mein mohabbat ka safar kya ma'ni
un se milne ki tamanna dil-e-betab na kar
kaun kahta hai ki haalat badal jaenge
kaun kahta hai ki din-raat badal jaenge
ruh ehsas ke bojhon se dabi jati hai
zindagi dard ke sanche mein Dhali jati hai
un se milne ki tamanna dil-e-betab na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.