gurezan
tumhāre saath chalne kā
mujhe jab hausla thā
tum kahāñ thiiñ
ḳhvāb ke madfan meñ
raushan
sham.a pā-basta
yahāñ se duur kā
afsurda nā-bīnā musāfir
jab bhī guzregā
vo e.ajāz-e-basārat se magar mahrūm guzregā
pukāregā kisī ham-dam ko jab
to guuñj ke afsūñ meñ
us kī garmī-e-raftār DhūñDegā
use jab lazzat-e-qurb-e-gurezāñ kī
purānī yaad aa.egī
vo jal jā.egā pal-bhar meñ
tumhārī sūrat-e-gul ke tasavvur se
agar tum sochtī ho māvarā-e-roz-o-shab ho
vo bhī shāyad roz-o-shab se māvarā hogā
maiñ nā-bīnā musāfir huuñ na sāhil par tumhārā ajnabī Thahrā
mulāqātoñ ke banjar silsiloñ
ke paar kyā hogā
salāsil ke tasalsul meñ
mirī āvāz ke chalte hue
gulshan kā kyā hogā
tumhaare sath chalne ka
mujhe jab hausla tha
tum kahan thin
KHwab ke madfan mein
raushan
shama pa-basta
yahan se dur ka
afsurda na-bina musafir
jab bhi guzrega
wo eajaz-e-basarat se magar mahrum guzrega
pukarega kisi ham-dam ko jab
to gunj ke afsun mein
us ki garmi-e-raftar DhunDega
use jab lazzat-e-qurb-e-gurezan ki
purani yaad aaegi
wo jal jaega pal-bhar mein
tumhaari surat-e-gul ke tasawwur se
agar tum sochti ho mawara-e-roz-o-shab ho
wo bhi shayad roz-o-shab se mawara hoga
main na-bina musafir hun na sahil par tumhaara ajnabi Thahra
mulaqaton ke banjar silsilon
ke par kya hoga
salasil ke tasalsul mein
meri aawaz ke chalte hue
gulshan ka kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.