guru-nanak
Interesting Fact
(Upon Guru Nanak's 500th Anniversary, Patna)
kasāfat-e-zindagī kī zulmat meñ sham-e-haq zau-fishāñ ho kaise
jahāñ kī bujhtī huī nigāhoñ ko jagmagātā hai bām-e-nānak
na paak koī na koī nāpāk koī ūñchā na koī nīchā
gurū kā ye mai-kada hai is jā har ik ko miltā hai jām-e-nānak
yahāñ miTe aa ke tafraqe sab rahī na ālūdgī koī bhī
ye harf-e-ulfat, ye taur-e-irfāñ, ye arsh-e-insāñ, ye nām-e-nānak
kasafat-e-zindagi ki zulmat mein sham-e-haq zau-fishan ho kaise
jahan ki bujhti hui nigahon ko jagmagata hai baam-e-nanak
na pak koi na koi napak koi uncha na koi nicha
guru ka ye mai-kada hai is ja har ek ko milta hai jam-e-nanak
yahan miTe aa ke tafraqe sab rahi na aaludgi koi bhi
ye harf-e-ulfat, ye taur-e-irfan, ye arsh-e-insan, ye nam-e-nanak
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 575)
- Author : Anand Narayan Mull
- Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.