gungi aurat
kyuuñ hairat se taktī hai ek ik chehre ko
kyā tujh ko shikva hai terī goyā.ī kī tāqat
chhīn ke qudarat ne be-insāfī kī hai?
kyā tujh ko ehsās hai tere paas agar guftār kī ne.amat hotī
to is chāroñ jānib phailī hathiyāroñ kī duniyā
siina dahlā dene vaale tayyāroñ kī insāñ-kush āvāzeñ
āvāzeñ jin meñ insāñ kī ruuh shabāna roz dabī jaatī hai
mahshar-ḳhez āvāzeñ kal-purzoñ kī jin se nafsī-nafsī kā aalam paidā ho kar
din par din ifrīt kī sūrat meñ baḌhtā jaatā hai
in āvāzoñ kī haibat-nākī par vāvailā kartī
tū āvāz uThātī us fāshī aur ta.assub phailāne vaale unsur ko baḌhtā pā kar
jo hubb-ul-vatanī ke naam pe insāñ-kush hotā jaatā hai
tū un rujhānāt kī ḳhuub mazammat kartī
un se laḌtī jo is duniyā ko pīchhe le jaane meñ koshāñ haiñ
'maz.hab aur tahzīb'
'saqāfat' aur 'taraqqī' kah kar raj.at-parvar ho jaate haiñ
le maiñ tujh ko apnī goyā.ī detā huuñ!
ye mere kaam nahīñ aa.ī kuchh
maiñ aisā buzdil huuñ jo har be-insāfī ko chupke chupke sahtā hai
jis ne 'maqtal' aur 'qātil' donoñ dekhe haiñ
lekin dānā.ī kah kar
apnī goyā.ī ko gūñgā kar rakhā hai!
kyun hairat se takti hai ek ek chehre ko
kya tujh ko shikwa hai teri goyai ki taqat
chhin ke qudarat ne be-insafi ki hai?
kya tujh ko ehsas hai tere pas agar guftar ki neamat hoti
to is chaaron jaanib phaili hathiyaron ki duniya
sina dahla dene wale tayyaron ki insan-kush aawazen
aawazen jin mein insan ki ruh shabana roz dabi jati hai
mahshar-KHez aawazen kal-purzon ki jin se nafsi-nafsi ka aalam paida ho kar
din par din ifrit ki surat mein baDhta jata hai
in aawazon ki haibat-naki par wawaila karti
tu aawaz uThati us fashi aur tassub phailane wale unsur ko baDhta pa kar
jo hubb-ul-watani ke nam pe insan-kush hota jata hai
tu un rujhanat ki KHub mazammat karti
un se laDti jo is duniya ko pichhe le jaane mein koshan hain
'mazhab aur tahzib'
'saqafat' aur 'taraqqi' kah kar rajat-parwar ho jate hain
le main tujh ko apni goyai deta hun!
ye mere kaam nahin aai kuchh
main aisa buzdil hun jo har be-insafi ko chupke chupke sahta hai
jis ne 'maqtal' aur 'qatil' donon dekhe hain
lekin danai kah kar
apni goyai ko gunga kar rakha hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.