guzra hua din
kal kā guzrā huā din phir mire ghar aayā hai
nā-gahāñ siine kā har daaġh ubhar aayā hai
ghūmtī phirtī hai āvāra chamelī kī mahak
chāñd āñgan meñ dabe paañv utar aayā hai
kis ke hoñToñ ke tabassum se bikharte haiñ gulāb
kaun hamrāh liye bād-e-sahar aayā hai
jhuT-puTā chhā gayā bosīda gharoñ ke uupar
duur se chal ke koī ḳhāk-basar aayā hai
kis ke ezaaz meñ ye saa.e nikal aa.e haiñ
aaj kyā bazm meñ vo ḳhasta-jigar aayā hai
ek mehmān hai jo aa ke chalā jā.egā
dil-e-bīmār use dekh ke bhar aayā hai
kal ka guzra hua din phir mere ghar aaya hai
na-gahan sine ka har dagh ubhar aaya hai
ghumti phirti hai aawara chameli ki mahak
chand aangan mein dabe panw utar aaya hai
kis ke honTon ke tabassum se bikharte hain gulab
kaun hamrah liye baad-e-sahar aaya hai
jhuT-puTa chha gaya bosida gharon ke upar
dur se chal ke koi KHak-basar aaya hai
kis ke ezaz mein ye sae nikal aae hain
aaj kya bazm mein wo KHasta-jigar aaya hai
ek mehman hai jo aa ke chala jaega
dil-e-bimar use dekh ke bhar aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.