guzre din ki aahaT
chup udaas kamre meñ
zindagī kī dhaḌkan hai
guzre din kī aahaT hai
vo nahīñ magar ab tak
us kā merā jīvan hai
khūñTiyoñ ke dāñtoñ meñ
us ke mere kapḌe haiñ
ā.inoñ meñ tasvīreñ
farsh par hai parchhā.īñ
bistaroñ meñ ḳhushbū hai
chup udaas kamre meñ
guzre din kī aahaT hai
chup udas kamre mein
zindagi ki dhaDkan hai
guzre din ki aahaT hai
wo nahin magar ab tak
us ka mera jiwan hai
khunTiyon ke danton mein
us ke mere kapDe hain
aainon mein taswiren
farsh par hai parchhain
bistaron mein KHushbu hai
chup udas kamre mein
guzre din ki aahaT hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.