Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gwadar chhawni

Salman Haider

gwadar chhawni

Salman Haider

MORE BYSalman Haider

    agar kahīñ in ke bas meñ ho to

    vatan miTTī ke chappe chappe pe chhāvnī ho

    agar kahīñ in ke bas meñ ho to

    badan miTTī ke chappe chappe pe chhāvnī ho

    jo log ab tak masā.il-e-hast-o-būd se nimaT rahe the

    ab un meñ ik fasl-e-nīst kaTtī ho aur nābūd ug rahā ho

    agar kahīñ in ke bas meñ ho to

    zamīn se bārūd ug rahā ho

    agar kahīñ in ke bas meñ ho to

    hamārī sāñsoñ ke rāste pe bhī ek chaukī hamāre apne mafād meñ ho

    ye tank raste meñ aane vaale makān mismār kar ke rakh deñ

    ye kohna socheñ

    mire vatan ke javān mismār kar ke rakh deñ

    ye log vo haiñ

    ki chāñd taarā mire vatan nishān sangīn meñ piro deñ

    agar kahīñ in ke bas meñ ho to

    ye nazm sun kar

    ḳhayāl ko boot se kuchal deñ

    zabān sangīn meñ piro deñ

    agar kahīñ in ke bas meñ ho to

    agar kahin in ke bas mein ho to

    watan ki miTTi ke chappe chappe pe chhawni ho

    agar kahin in ke bas mein ho to

    badan ki miTTi ke chappe chappe pe chhawni ho

    jo log ab tak masail-e-hast-o-bud hi se nimaT rahe the

    ab un mein ek fasl-e-nist kaTti ho aur nabud ug raha ho

    agar kahin in ke bas mein ho to

    zamin se barud ug raha ho

    agar kahin in ke bas mein ho to

    hamari sanson ke raste pe bhi ek chauki hamare apne mafad mein ho

    ye tank raste mein aane wale makan mismar kar ke rakh den

    ye kohna sochen

    mere watan ke jawan mismar kar ke rakh den

    ye log wo hain

    ki chand tara mere watan ka nishan sangin mein piro den

    agar kahin in ke bas mein ho to

    ye nazm sun kar

    KHayal ko boot se kuchal den

    zaban sangin mein piro den

    agar kahin in ke bas mein ho to

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now