gyan
ye chatiyal sarzamīñ
tum ko milī
to tum ne be-barg-o-gayāh Tiile par
ik ma.abad banā Daalā
aur us meñ ek but rakkhā
jise tum ne tarāshā
aadmī ke ustuḳhvāñ se
jis ke charnoñ meñ chaḌhāvā laa.e tum
to apne bhaa.ī kā
aur us ke hoñT ab tak ḳhuun kī laalī se rangīñ haiñ
zabāñ ab tak lahū ke zā.iqe se tar hai
laao aur nazrāna
ki ye ma.abad hai
maiñ but huuñ
mire hī tum pujārī ho
ye chatiyal sarzamīñ
mujh ko milī
to maiñ ne bhūrī charcharātī ḳhushk miTTī ko pasīne kī namī baḳhshī
mire ḳhuuñ kī harārat ne zamīñ ke sang-e-yaḳh-basta ko pighlāyā
zamīñ kī chhātiyoñ se ziist ke sote bahe
rangoñ ke chashme har taraf phūTe
ye dhartī sabz chādar oḌh kar dulhan banī niklī
aur is chādar meñ maiñ ne nuur ke dhāge piro Daale
ye ik tum ho
ki mere ḳhuun se ma.abad banāte ho
ye ik maiñ huuñ
ki apne nuur se dhartī ke mandir ko sajātā huuñ
ye chatiyal sarzamin
tum ko mili
to tum ne be-barg-o-gayah Tile par
ek mabad bana Dala
aur us mein ek but rakkha
jise tum ne tarasha
aadmi ke ustuKHwan se
jis ke charnon mein chaDhawa lae tum
to apne bhai ka
aur us ke honT ab tak KHun ki lali se rangin hain
zaban ab tak lahu ke zaiqe se tar hai
lao aur nazrana
ki ye mabad hai
main but hun
mere hi tum pujari ho
ye chatiyal sarzamin
mujh ko mili
to main ne bhuri charcharaati KHushk miTTi ko pasine ki nami baKHshi
mere KHun ki hararat ne zamin ke sang-e-yaKH-basta ko pighlaya
zamin ki chhatiyon se zist ke sote bahe
rangon ke chashme har taraf phuTe
ye dharti sabz chadar oDh kar dulhan bani nikli
aur is chadar mein main ne nur ke dhage piro Dale
ye ek tum ho
ki mere KHun se mabad banate ho
ye ek main hun
ki apne nur se dharti ke mandir ko sajata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.