habil
avvalīñ zā.iqa-e-ḳhūñ se thī lab-talḳh vo ḳhaak
jis pe maiñ TuuTī huī shāḳh ke mānind girā
kin sharāroñ kī dahak dīda-e-qābīl meñ thī
vo hasad thā ki havas taish ki nafrat kyā thā
aur phir mere badan mere lahū meñ utrā
avvalīñ be-basi-e-karb-e-fanā kā idrāk
bujh ga.ī sham-e-nazar miT ga.e āvāz ke naqsh
bū-e-gul, jū-e-sabā, najm-e-sahar kuchh na rahā
larzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamām
rū-e-jānāñ ġham-e-jāñ dīda-e-tar kuchh na rahā
nasl-dar-nasl yūñhī mere lahū kā pyāsā
nār-e-namrūd bhī vo naḳhvat-e-fir.aun bhī vo
jām-e-zahrāb bhī vo tesha bhī vo daar bhī vo
ḳhanjar-e-shimr bhī vo tarkash-e-chañgez bhī vo
asia meñ kabhī africa meñ ḳhūñ-rez bhī vo
aur qābīl se irshād kiyā thā tū ne
ḳhūn-e-hābīl kī in zarroñ se bū aatī hai
phail kar ab vahī bū saare jahāñ par hai muhīt
kyā ye bū tā-ba-abad merā muqaddar hogī
kyā tire izn se qābīl kī ḳhū qaa.em hai
kyā ye ḳhū tā-ba-abad merā muqaddar hogī
awwalin zaiqa-e-KHun se thi lab-talKH wo KHak
jis pe main TuTi hui shaKH ke manind gira
kin shararon ki dahak dida-e-qabil mein thi
wo hasad tha ki hawas taish ki nafrat kya tha
aur phir mere badan mere lahu mein utra
awwalin be-basi-e-karb-e-fana ka idrak
bujh gai sham-e-nazar miT gae aawaz ke naqsh
bu-e-gul, ju-e-saba, najm-e-sahar kuchh na raha
larzish-e-mauj-e-tanaffus ke karishme the tamam
ru-e-jaanan gham-e-jaan dida-e-tar kuchh na raha
nasl-dar-nasl yunhi mere lahu ka pyasa
nar-e-namrud bhi wo naKHwat-e-firaun bhi wo
jam-e-zahrab bhi wo tesha bhi wo dar bhi wo
KHanjar-e-shimr bhi wo tarkash-e-changez bhi wo
asia mein kabhi africa mein KHun-rez bhi wo
aur qabil se irshad kiya tha tu ne
KHun-e-habil ki in zarron se bu aati hai
phail kar ab wahi bu sare jahan par hai muhit
kya ye bu ta-ba-abad mera muqaddar hogi
kya tere izn se qabil ki KHu qaem hai
kya ye KHu ta-ba-abad mera muqaddar hogi
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 245)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.