hadisa
chāñd sā chehra khilā tīra-shabī ke dasht meñ
aur sitāroñ kī tarah
ho ga.iiñ yādoñ kī kaliyāñ be-qarār
vaqt kī suulī pe hai laTkī huī zinda-dilī
apne andar TūTtā jaatā huuñ maiñ
ā.ina-ḳhāne meñ maazī ke ka.ī tasvīreñ haiñ
ek meñ miltī hai rishte kī jhalak
dūsre meñ rabt-e-bāham kī mahak
hai vahī mausam vahī arz-o-samā
huuñ magar maiñ ajnabiyyat kā shikār
mez ke nīche paḌā hai ik khilaunā kāñch kā TuuTā huā
chand sa chehra khila tira-shabi ke dasht mein
aur sitaron ki tarah
ho gain yaadon ki kaliyan be-qarar
waqt ki suli pe hai laTki hui zinda-dili
apne andar TuTta jata hun main
aaina-KHane mein mazi ke kai taswiren hain
ek mein milti hai rishte ki jhalak
dusre mein rabt-e-baham ki mahak
hai wahi mausam wahi arz-o-sama
hun magar main ajnabiyyat ka shikar
mez ke niche paDa hai ek khilauna kanch ka TuTa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.