hadisa
ūñche puḳhta makān haiñ
makānoñ ke naam haiñ
insān magar gumnām haiñ
shahroñ kī yahī pahchān hai
zindagī ek kohrām jaise
jiinā dushvār maut āsān hai
shahroñ kī yahī pahchān hai
bhaag dauḌ hai
āh-o-fuġhāñ hai
jiinā azaab hai
aadmī se aadmī anjān hai
shahroñ kī yahī pahchān hai
paḌosī kī maut par
koī aañsū nahīñ bahātā
do-chār qadam
koī kāñdhā nahīñ de paatā
āḳhirī ārām-gāh tak
koī saath nahīñ chal paatā
mauteñ hotī haiñ hādsoñ se
hādsoñ kī mautoñ meñ
kabhī aisā bhī hotā hai
jinheñ dafnānā thā vo jalā.e jaate haiñ
jinheñ jalānā thā vo dafnā.e jaate haiñ
aur kuchh bad-qismat aise bhī hote haiñ
jo kafan se bhī mahrūm rah jaate haiñ
unche puKHta makan hain
makanon ke nam hain
insan magar gumnam hain
shahron ki yahi pahchan hai
zindagi ek kohram jaise
jina dushwar maut aasan hai
shahron ki yahi pahchan hai
bhag dauD hai
aah-o-fughan hai
jina azab hai
aadmi se aadmi anjaan hai
shahron ki yahi pahchan hai
paDosi ki maut par
koi aansu nahin bahata
do-chaar qadam
koi kandha nahin de pata
aaKHiri aaram-gah tak
koi sath nahin chal pata
mauten hoti hain hadson se
hadson ki mauton mein
kabhi aisa bhi hota hai
jinhen dafnana tha wo jalae jate hain
jinhen jalana tha wo dafnae jate hain
aur kuchh bad-qismat aise bhi hote hain
jo kafan se bhi mahrum rah jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.