hadsa
raat hī raat meñ
rāste shahr se jañgaloñ ko muḌe
niiñd gum ho ga.ī
ḳhūbsūrat hasīñ ḳhūb-rū laḌkiyāñ
aurteñ ban ga.iiñ
bahte paanī meñ un ko bahāyā gayā
ḳhvāb-zāde hue dāstānoñ meñ gum
raat hī raat meñ
azdahe nau-javānoñ kā dil khā ga.e
neTī-jeTī pe sab lāpata ho ga.e
aan kī aan meñ
shahr kaise miTā
ḳhvāb kaise jilā
raat hi raat mein
raste shahr se jangalon ko muDe
nind gum ho gai
KHubsurat hasin KHub-ru laDkiyan
aurten ban gain
bahte pani mein un ko bahaya gaya
KHwab-zade hue dastanon mein gum
raat hi raat mein
azdahe nau-jawanon ka dil kha gae
neTi-jeTi pe sab lapata ho gae
aan ki aan mein
shahr kaise miTa
KHwab kaise jila
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 180)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.