hadsat
zindagī hādsāt lagtī hai
kitnī chhoTī sī baat lagtī hai
tang sī kā.enāt lagtī hai
muḳhtasar jab hayāt lagtī hai
qaid-e-ġham aur bandish-e-hastī
qaid meñ guzrī raat lagtī hai
hasratoñ ke hujūm meñ aksar
zindagī mumkināt lagtī hai
vo bhī aksar udaas hote haiñ
har ḳhushī jin ke saath lagtī hai
ashk-bārī na pūchhiye ham se
aañkh sāvan kī raat lagtī hai
luuT letā hai ġham ḳhushī dil kī
mushkiloñ se jo haath lagtī hai
mehrbāñ hoñge vo kabhī mujh par
muñh se niklī sī baat lagtī hai
zindagī aur zindagī ke ġham
ik luTī sī barāt lagtī hai
zindagī muḳhtasar hai to kitnī
ek bhūlī sī baat lagtī hai
nā-murādī sī nā-murādī hai
zindagī khaa.ī maat lagtī hai
zaḳhm siine meñ chhoḌ jaatī hai
jo hañsī iltifāt lagtī hai
maut ko muskurāte dekhā hai
thartharā.ī hayāt lagtī hai
kashmakash zindagī kī ai 'ashraf'
bejā sā iltifāt lagtī hai
zindagi hadsat lagti hai
kitni chhoTi si baat lagti hai
tang si kaenat lagti hai
muKHtasar jab hayat lagti hai
qaid-e-gham aur bandish-e-hasti
qaid mein guzri raat lagti hai
hasraton ke hujum mein aksar
zindagi mumkinat lagti hai
wo bhi aksar udas hote hain
har KHushi jin ke sath lagti hai
ashk-bari na puchhiye hum se
aankh sawan ki raat lagti hai
luT leta hai gham KHushi dil ki
mushkilon se jo hath lagti hai
mehrban honge wo kabhi mujh par
munh se nikli si baat lagti hai
zindagi aur zindagi ke gham
ek luTi si baraat lagti hai
zindagi muKHtasar hai to kitni
ek bhuli si baat lagti hai
na-muradi si na-muradi hai
zindagi khai mat lagti hai
zaKHm sine mein chhoD jati hai
jo hansi iltifat lagti hai
maut ko muskuraate dekha hai
thartharai hayat lagti hai
kashmakash zindagi ki ai 'ashraf'
beja sa iltifat lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.