haji bhai pani wala
donoñ mashkīze labā-lab
ek chumbak kī tarah
apnī jānib khīñchte rahte use
fīl-bandī qahr thī
mard gāhak masḳharī karte hue Darte
zarā mohtāt rahte
jhurjhurī kā svāñg bharte
aurteñ maġhmūm āñkhoñ meñ
taras kāḌhe hue
apne bachchoñ par baras paḌtīñ
agar vo bad-lihāz
bholpan se pūchh lete
kyuuñ nahīñ
us ke falānoñ kī tarah
un ke falāne kyuuñ nahīñ
vo ḳhudā.ī farsh par ukḌūñ
kabhī gautam ke aasan meñ kabhī
tahmad se bāhar paañv phailā ke
akaḌ kar baiThtā
baar baar is vāste pahlū badaltā
jugal-garī kartā ki pairoñ meñ
hamesha jhunjhunī ke jhunjhune bajte
ajab ik mustaqil sī bekalī rahtī
vo ġhubāre phaTe paḌte the
jin par taañt sī niilī rageñ phūlī huī
nanhe-munne kechuoñ kī tarah
kunDlī maar ke baiThī huī thiiñ
jis tarah kanghā chhupāne ke liye
us ne sir-sayyad kī dāḌhī hū-ba-hū
pilpile tarbūz par
us kī luñgī mez-posh aisī paḌī rahtī
is maraz kā fā.eda itnā huā
apnī chaukī se farāġhat pā gayā
ye ki raddī phaaḌ kar
apne thaile apnī godī meñ sameTe
vo unhī par
saarī puḌyā.eñ banātā
lauñg dhaniya dār-chīnī jā.e-phal aur tej-pāt
sab masāle us kī rānoñ ke maze
chakhe hue the
ġhībatī jal-kukḌe aise the ki bas
saaf kahte is ne ka.abe kī ziyārat hī
nahīñ kī hai
faqat ajmer jā kar lauT aayā
balki ye bhī mushtaba
is pahāḌī se utarnā
dūsrī kā qasd karnā
hājiyoñ kī dhīñgā-mushtī lapā-dagī rel-pel
phir gunāhoñ ke piTāre kī tarah laTkī huī
fāltū gaThrī alag
us kī hālat ġhair thī
haj to mumkin hī nahīñ
jitne hāsid utnī bāteñ
ek roz
vo ulahnoñ se niDhāl
maut kī bāñhoñ meñ bāñheñ Daal ke
apne aaqā kī taraf
apne raaz apne mafā.īlun uThā.e chal paḌā
kisī mulk meñ ek thā bādshāh
hamārā tumhārā ḳhudā bādshāh
donon mashkize laba-lab
ek chumbak ki tarah
apni jaanib khinchte rahte use
fil-bandi qahr thi
mard gahak masKHari karte hue Darte
zara mohtat rahte
jhurjhuri ka swang bharte
aurten maghmum aankhon mein
taras kaDhe hue
apne bachchon par baras paDtin
agar wo bad-lihaz
bholpan se puchh lete
kyun nahin
us ke falanon ki tarah
un ke falane kyun nahin
wo KHudai farsh par ukDun
kabhi gautam ke aasan mein kabhi
tahmad se bahar panw phaila ke
akaD kar baiThta
bar bar is waste pahlu badalta
jugal-gari karta ki pairon mein
hamesha jhunjhuni ke jhunjhune bajte
ajab ek mustaqil si bekali rahti
wo ghubare phaTe paDte the
jin par tant si nili ragen phuli hui
nanhe-munne kechuon ki tarah
kunDli mar ke baiThi hui thin
jis tarah kangha chhupane ke liye
us ne sir-sayyad ki daDhi hu-ba-hu
pilpile tarbuz par
us ki lungi mez-posh aisi paDi rahti
is maraz ka faeda itna hua
apni chauki se faraghat pa gaya
ye ki raddi phaD kar
apne thaile apni godi mein sameTe
wo unhi par
sari puDyaen banata
laung dhaniya dar-chini jae-phal aur tej-pat
sab masale us ki ranon ke maze
chakhe hue the
ghibati jal-kukDe aise the ki bas
saf kahte is ne kabe ki ziyarat hi
nahin ki hai
faqat ajmer ja kar lauT aaya
balki ye bhi mushtaba
is pahaDi se utarna
dusri ka qasd karna
hajiyon ki dhinga-mushti lapa-dagi rel-pel
phir gunahon ke piTare ki tarah laTki hui
faltu gaThri alag
us ki haalat ghair thi
haj to mumkin hi nahin
jitne hasid utni baaten
ek roz
wo ulahnon se niDhaal
maut ki banhon mein banhen Dal ke
apne aaqa ki taraf
apne raaz apne mafailun uThae chal paDa
kisi mulk mein ek tha baadshah
hamara tumhaara KHuda baadshah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.