haalat
kabhī kabhī
bādal kā koī āvāra TukḌā
apne vajūd se kahīñ duur
kisī koh se ulajh jaatā hai
yuuñ
bhaTak kar tanhā.iyoñ kī
bāhoñ meñ panāh letā hai
kabhī kabhī
yuuñ bhī hotā hai
mere vajūd ke nihāñ-ḳhāne meñ
saraktī huī koī sadā
apnī sargoshiyoñ se
dil ko udaas kar detī hai
ki be-rañg mausamoñ kī kaḌvāhaT se
alfāz ke sehr meñ
ḳhvāhishāt ke hujūm tale
fareb ke bhañvar meñ
ulajh kar
vo ruuTh jaa.e to kyā ho
maan jaa.e to kyā ho
kabhi kabhi
baadal ka koi aawara TukDa
apne wajud se kahin dur
kisi koh se ulajh jata hai
yun
bhaTak kar tanhaiyon ki
bahon mein panah leta hai
kabhi kabhi
yun bhi hota hai
mere wajud ke nihan-KHane mein
sarakti hui koi sada
apni sargoshiyon se
dil ko udas kar deti hai
ki be-rang mausamon ki kaDwahaT se
alfaz ke sehr mein
KHwahishat ke hujum tale
fareb ke bhanwar mein
ulajh kar
wo ruTh jae to kya ho
man jae to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.