haalat-e-jang mein mazduri
vo aa.e
unhoñ ne kahā
miTTī khodo
ham ne
sañgī zamīn meñ
matlūb gaḌhā banā kar diyā
us ke andar jaao
vo durusht lahje meñ bole
ham
gahre gaḌhe meñ utar ga.e
unhoñ ne
miTTī Daal kar
zamīn hamvār kar lī
hameñ maut bhī
ujrat ke taur par milī hai
wo aae
unhon ne kaha
miTTi khodo
hum ne
sangi zamin mein
matlub gaDha bana kar diya
us ke andar jao
wo durusht lahje mein bole
hum
gahre gaDhe mein utar gae
unhon ne
miTTi Dal kar
zamin hamwar kar li
hamein maut bhi
ujrat ke taur par mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.