han meri mahbuba
tū na to koī bhed hai
aur na hī bhed bharī thailī kā chhuTā huā koī ain mahbūba
haañ merī mahbūba
terā naam pata aur shajara-e-nasab to jānte haiñ ham
andar bāhar
zāhir bātin
donoñ samt hī aane jaane vaale haiñ ham
tere ghar ke bhedī haiñ o bhedan baarī
kabhī haqīqī kabhī majāzī
tarah tarah se tere aam se jism kī lazzat le lete haiñ
apnā to kuchh bhī nahīñ jaatā
lafz se lafz banāne vaale
koī bhī ġham ho
lafz kī golī rañg badalte lamhoñ kī gañgā meñ ghol ke pī jaate haiñ
saare gunāh siyāsī
aḳhlāqī rūhānī
apne saath lipaT kar ḳhvāb kī gahrī be-hoshī meñ
so jaate haiñ
dūsre din tū nayā svāñg rachā letī hai
ham bhī apne apne nusḳhe badal badal kar jī lete haiñ
tu na to koi bhed hai
aur na hi bhed bhari thaili ka chhuTa hua koi ain mahbuba
han meri mahbuba
tera nam pata aur shajara-e-nasab to jaante hain hum
andar bahar
zahir baatin
donon samt hi aane jaane wale hain hum
tere ghar ke bhedi hain o bhedan bari
kabhi haqiqi kabhi majazi
tarah tarah se tere aam se jism ki lazzat le lete hain
apna to kuchh bhi nahin jata
lafz se lafz banane wale
koi bhi gham ho
lafz ki goli rang badalte lamhon ki ganga mein ghol ke pi jate hain
sare gunah siyasi
aKHlaqi ruhani
apne sath lipaT kar KHwab ki gahri be-hoshi mein
so jate hain
dusre din tu naya swang racha leti hai
hum bhi apne apne nusKHe badal badal kar ji lete hain
- Book : siip-volume-35 (Pg. 146)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.