haar-jit
zindagī ke manzar meñ
hār-jīt kā manzar
kas qadar udāsī kā
aur be-navā.ī kā
ek muntazir manzar
Duub kar irādoñ meñ
TuuT kar sarāboñ meñ
dasht-e-be-amāñ manzar
hār-jīt kā manzar
aaj apne shā.ir se
pūchh leñ to achchhā hai
kyā gañvā ke paayā hai
aur kyā jo khoyā hai
e'tibār kā manzar
hār-jīt kā manzar
aaj tum se khelī hai
zindagī kī vo baazī
jis meñ hārnā shāyad
jiit kā ḳhulāsa hai
khel khel meñ jānam
aao aaj phir kheleñ
hār-jīt kā manzar
muntazir nigāhoñ meñ
maiñ to haar jā.ūñgī
soch lo piyā lekin
tum se jiit jā.ūñgī
zindagi ke manzar mein
haar-jit ka manzar
kas qadar udasi ka
aur be-nawai ka
ek muntazir manzar
Dub kar iradon mein
TuT kar sarabon mein
dasht-e-be-aman manzar
haar-jit ka manzar
aaj apne shair se
puchh len to achchha hai
kya ganwa ke paya hai
aur kya jo khoya hai
e'tibar ka manzar
haar-jit ka manzar
aaj tum se kheli hai
zindagi ki wo bazi
jis mein haarna shayad
jit ka KHulasa hai
khel khel mein jaanam
aao aaj phir khelen
haar-jit ka manzar
muntazir nigahon mein
main to haar jaungi
soch lo piya lekin
tum se jit jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.