hasil-e-mutala
vo jinheñ mujh se mohabbat bhī hai hamdardī bhī hai
mere ilmī shauq ko kahte haiñ be-kār-o-fuzūl
pūchhte haiñ vo mujhe kyoñ in kitāboñ se hai ishq
ho na maalī manfa.at kā jin ke paḌhne se husūl
jāntā huuñ maiñ bhī maalī fā.eda in se nahīñ
phir bhī kartā huuñ dil-o-jāñ se kitāboñ ko pasand
sarfarāzī de nahīñ saktī vo daulat se magar
mujh ko kar detī haiñ ḳhud apnī nigāhoñ meñ buland
wo jinhen mujh se mohabbat bhi hai hamdardi bhi hai
mere ilmi shauq ko kahte hain be-kar-o-fuzul
puchhte hain wo mujhe kyon in kitabon se hai ishq
ho na mali manfat ka jin ke paDhne se husul
jaanta hun main bhi mali faeda in se nahin
phir bhi karta hun dil-o-jaan se kitabon ko pasand
sarfaraazi de nahin sakti wo daulat se magar
mujh ko kar deti hain KHud apni nigahon mein buland
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.