hasil-e-safar
samundaroñ se ghire hue anginat jazīre
alag alag ek dūsre se
ufuq kī jānib nihārte se
hasīñ to āñkhoñ ko lag rahe haiñ
nahīñ hai ye husn bhī magar kuchh
kisī jazīre pe naav se ham utar ke dekheñ
kahīñ na aa.egā jangaloñ ke sivā nazar kuchh
na.e mamālik kī justujū kyoñ
hamārī qismat meñ jab nahīñ hai likhā huā
hāsil-e-safar kuchh
samundaron se ghire hue anginat jazire
alag alag ek dusre se
ufuq ki jaanib nihaarte se
hasin to aankhon ko lag rahe hain
nahin hai ye husn bhi magar kuchh
kisi jazire pe naw se hum utar ke dekhen
kahin na aaega jangalon ke siwa nazar kuchh
nae mamalik ki justuju kyon
hamari qismat mein jab nahin hai likha hua
hasil-e-safar kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.