hath ki lakiren
har bhed ko chhupā.eñ ye haath kī lakīreñ
pūchho to sab batā.eñ ye haath kī lakīreñ
samjho to aa.ina hai dekho to kuchh nahīñ hai
maano to hai sabhī kuchh na maano kuchh nahīñ hai
dekho to kuchh dikhā.eñ ye haath kī lakīreñ
har bhed ko chhupā.eñ ye haath kī lakīreñ
dhuñdlī sī ye lakīreñ haiñ zindagī kī rāheñ
ye maut-o-zindagī kī ġham kī ḳhushī kī rāheñ
har pal badaltī jaa.eñ ye haath kī lakīreñ
har bhed ko chhupā.eñ ye haath kī lakīreñ
daasī ho chāhe raanī in meñ ghirī huī hai
kuchh bas nahīñ kisī kā majbūr zindagī hai
siitā ko bhī rulā.eñ ye haath kī lakīreñ
har bhed ko chhupā.eñ ye haath kī lakīreñ
har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren
puchho to sab bataen ye hath ki lakiren
samjho to aaina hai dekho to kuchh nahin hai
mano to hai sabhi kuchh na mano kuchh nahin hai
dekho to kuchh dikhaen ye hath ki lakiren
har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren
dhundli si ye lakiren hain zindagi ki rahen
ye maut-o-zindagi ki gham ki KHushi ki rahen
har pal badalti jaen ye hath ki lakiren
har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren
dasi ho chahe rani in mein ghiri hui hai
kuchh bas nahin kisi ka majbur zindagi hai
sita ko bhi rulaen ye hath ki lakiren
har bhed ko chhupaen ye hath ki lakiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.