hathon ka tarana
in hāthoñ kī tāzīm karo
in hāthoñ kī takrīm karo
duniyā ke chalāne vaale haiñ
in hāthoñ ko taslīm karo
tārīḳh ke aur mashīnoñ ke pahiyoñ kī ravānī in se hai
tahzīb kī aur tamaddun kī bharpūr javānī in se hai
duniyā kā fasāna in se hai, insāñ kī kahānī in se hai
in hāthoñ kī tāzīm karo
sadiyoñ se guzar kar aa.e haiñ, ye nek aur bad ko jānte haiñ
ye dost haiñ saare aalam ke, par dushman ko pahchānte haiñ
ḳhud shaktī kā autār haiñ, ye kab ġhair kī shaktī mānte haiñ
in hāthoñ ko tāzīm karo
ek zaḳhm hamāre hāthoñ ke, ye phuul jo haiñ gul-dānoñ meñ
sūkhe hue pyāse chullū the, jo jaam haiñ ab mai-ḳhānoñ meñ
TuuTī huī sau añgḌā.iyoñ kī mehrābeñ haiñ aivānoñ meñ
in hāthoñ kī tāzīm karo
rāhoñ kī sunahrī raushniyāñ, bijlī ke jo phaile dāman meñ
fānūs hasīñ aivānoñ ke, jo rang-o-nūr ke ḳhirman meñ
ye haath hamāre jalte haiñ, ye haath hamāre raushan haiñ
in hāthoñ kī tāzīm karo
ḳhāmosh haiñ ye ḳhāmoshī se, so barbat-o-chañg banāte haiñ
tāroñ meñ raag sulāte haiñ, tabloñ meñ bol chhupāte haiñ
jab saaz meñ jumbish hotī hai, tab haath hamāre gaate haiñ
in hāthoñ kī tāzīm karo
e.ajāz hai ye in hāthoñ kaa, resham ko chhueñ to āñchal hai
patthar ko chhueñ to but kar deñ, kālakh ko chhueñ to kājal hai
miTTī ko chhueñ to sonā hai, chāñdī ko chhueñ to pāyal hai
in hāthoñ kī tāzīm karo
bahtī huī bijlī kī lahreñ, simTe hue gangā ke dhāre
dhartī ke muqaddar ke mālik, mehnat ke ufuq ke sayyāre
ye chāragarān-e-dard-e-jahāñ, sadiyoñ se magar ḳhud bechāre
in hāthoñ kī tāzīm karo
taḳhlīq ye soz-e-mehnat kii, aur fitrat ke shahkār bhī haiñ
maidān-e-amal meñ lekin ḳhud, ye ḳhāliq bhī me.amār bhī haiñ
phūloñ se bharī ye shāḳh bhī haiñ aur chaltī huī talvār bhī haiñ
in hāthoñ kī tāzīm karo
ye haath na huuñ to mohmal sab, tahrīreñ aur taqrīreñ haiñ
ye haath na hoñ to be-ma.anī insānoñ kī taqrīreñ haiñ
sab hikmat-o-dānish ilm-o-hunar in hāthoñ kī tafsīreñ haiñ
in hāthoñ kī ta.azīm karo
ye kitne subuk aur nāzuk haiñ, ye kitne siDaul aur achchhe haiñ
chālākī meñ ustād haiñ ye aur bhole-pan meñ bachche haiñ
is jhuuT kī gandī duniyā meñ bas haath hamāre sachche haiñ
in hāthoñ kī tāzīm karo
ye sarhad sarhad juḌte haiñ aur mulkoñ mulkoñ jaate haiñ
bāñhoñ meñ bāñheñ Dālte haiñ aur dil se dil ko milāte haiñ
phir zulm-o-sitam ke pairoñ kī zanjīr-e-girāñ ban jaate haiñ
in hāthoñ kī ta.azīm karo
ta.amīr to in kī fitrat hai, ik aur na.ī ta.amīr sahī
ik aur na.ī tadbīr sahī, ik aur na.ī taqdīr sahī
ik shoḳh o hasīñ ḳhvāb aur sahī ik shoḳh o hasīñ ta.abīr sahī
in hāthoñ kī ta.azīm karo
in hāthoñ kī takrīm karo
duniyā ko chalāne vaale haiñ
in hāthoñ ko taslīm karo
in hathon ki tazim karo
in hathon ki takrim karo
duniya ke chalane wale hain
in hathon ko taslim karo
tariKH ke aur mashinon ke pahiyon ki rawani in se hai
tahzib ki aur tamaddun ki bharpur jawani in se hai
duniya ka fasana in se hai, insan ki kahani in se hai
in hathon ki tazim karo
sadiyon se guzar kar aae hain, ye nek aur bad ko jaante hain
ye dost hain sare aalam ke, par dushman ko pahchante hain
KHud shakti ka autar hain, ye kab ghair ki shakti mante hain
in hathon ko tazim karo
ek zaKHm hamare hathon ke, ye phul jo hain gul-danon mein
sukhe hue pyase chullu the, jo jam hain ab mai-KHanon mein
TuTi hui sau angDaiyon ki mehraben hain aiwanon mein
in hathon ki tazim karo
rahon ki sunahri raushniyan, bijli ke jo phaile daman mein
fanus hasin aiwanon ke, jo rang-o-nur ke KHirman mein
ye hath hamare jalte hain, ye hath hamare raushan hain
in hathon ki tazim karo
KHamosh hain ye KHamoshi se, so barbat-o-chang banate hain
taron mein rag sulate hain, tablon mein bol chhupate hain
jab saz mein jumbish hoti hai, tab hath hamare gate hain
in hathon ki tazim karo
eajaz hai ye in hathon ka, resham ko chhuen to aanchal hai
patthar ko chhuen to but kar den, kalakh ko chhuen to kajal hai
miTTi ko chhuen to sona hai, chandi ko chhuen to payal hai
in hathon ki tazim karo
bahti hui bijli ki lahren, simTe hue ganga ke dhaare
dharti ke muqaddar ke malik, mehnat ke ufuq ke sayyare
ye chaaragaran-e-dard-e-jahan, sadiyon se magar KHud bechaare
in hathon ki tazim karo
taKHliq ye soz-e-mehnat ki, aur fitrat ke shahkar bhi hain
maidan-e-amal mein lekin KHud, ye KHaliq bhi meamar bhi hain
phulon se bhari ye shaKH bhi hain aur chalti hui talwar bhi hain
in hathon ki tazim karo
ye hath na hun to mohmal sab, tahriren aur taqriren hain
ye hath na hon to be-mani insanon ki taqriren hain
sab hikmat-o-danish ilm-o-hunar in hathon ki tafsiren hain
in hathon ki tazim karo
ye kitne subuk aur nazuk hain, ye kitne siDaul aur achchhe hain
chaalaki mein ustad hain ye aur bhole-pan mein bachche hain
is jhuT ki gandi duniya mein bas hath hamare sachche hain
in hathon ki tazim karo
ye sarhad sarhad juDte hain aur mulkon mulkon jate hain
banhon mein banhen Dalte hain aur dil se dil ko milate hain
phir zulm-o-sitam ke pairon ki zanjir-e-giran ban jate hain
in hathon ki tazim karo
tamir to in ki fitrat hai, ek aur nai tamir sahi
ek aur nai tadbir sahi, ek aur nai taqdir sahi
ek shoKH o hasin KHwab aur sahi ek shoKH o hasin tabir sahi
in hathon ki tazim karo
in hathon ki takrim karo
duniya ko chalane wale hain
in hathon ko taslim karo
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.