hazir-ghaeb
ishāra kis ne toḌā hai
ki chaurāhe ke bīchoñ-bīch
ham ik dūsre se is tarah Takrā ga.e haiñ
ye chāroñ rāste
ham ne mohabbat kī kudāloñ se tarāshe the
hameñ phūloñ pe chalne kā ishāra chāhiye thā
magar rishtoñ ke bādal jo kabhī dil par baraste the
to hariyālī kā mausam chāroñ jānib phail jaatā thā
vo bādal kāñch ke mānind yuuñ TuuTe fazāoñ meñ
ki har rastā nukīlī kirchiyoñ kī surma.ī bārish meñ bhīgā hai
ye chaurāhā
ki jo apne milan kā isti.āra thā
tamāshā-gāh meñ badlā
musāfir ek-dūje ke muqābil aa hī jaate haiñ
magar apnā safar kaise tasādum meñ Dhalā āḳhir
use ik hādse kī shakl kaise aur kis ne dī
safar ko sānehe kā pairahan pahnā ke
chaurāhe ke bīchoñ-bīch istāda kiyā jis ne
use ham kis tarah DhūñDeñ
use ham kaise pahchāneñ
ki har-sū ḳhushnumā chehre kachūmar ho ke bikhre haiñ
vo malġhūba jo us andhe tasādum kā natīja hai
use kis shakl meñ Dhāleñ
ishaara kis ne toDa hai
ki chaurahe ke bichon-bich
hum ek dusre se is tarah Takra gae hain
ye chaaron raste
hum ne mohabbat ki kudalon se tarashe the
hamein phulon pe chalne ka ishaara chahiye tha
magar rishton ke baadal jo kabhi dil par baraste the
to hariyali ka mausam chaaron jaanib phail jata tha
wo baadal kanch ke manind yun TuTe fazaon mein
ki har rasta nukili kirchiyon ki surmai barish mein bhiga hai
ye chauraha
ki jo apne milan ka istiara tha
tamasha-gah mein badla
musafir ek-duje ke muqabil aa hi jate hain
magar apna safar kaise tasadum mein Dhala aaKHir
use ek hadse ki shakl kaise aur kis ne di
safar ko sanehe ka pairahan pahna ke
chaurahe ke bichon-bich istada kiya jis ne
use hum kis tarah DhunDen
use hum kaise pahchanen
ki har-su KHushnuma chehre kachumar ho ke bikhre hain
wo malghuba jo us andhe tasadum ka natija hai
use kis shakl mein Dhaalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.