habib jalib
zamīr-e-vaqt kī āvāz rūh-e-asr kā karb
sameTe dāman-e-dil meñ na jaane kab se thā
hisār-e-jabr-o-sitam meñ dukhoñ kī bastī meñ
jalā.e sham.a-e-qalam ham-kalām shab se thā
harīf-e-sunnat-e-āzar kalīm-e-jāda-e-fan
sanam-kade meñ muḳhātib butoñ ke rab se thā
vo apne ahd kā mansūr harf-e-haq kā naqīb
salīb-e-vaqt pe faa.ez vo shaḳhs kab se thā
vo lab jo harf-e-sar-e-dār kā muġhannī thā
jo naġhma-ḳhvāñ sar-e-maqtal rahā ujāloñ kā
ho nazm yā ki ġhazal muḳhtalif vo sab se thā
kamāl pyaar use mansab-e-adab se thā
vo ek shaḳhs jise jān-e-fikr-o-fan kahiye
jamāl-e-dīda-varī hurmat-e-suḳhan kahiye
vo ek shaḳhs jise mash.al-e-navā kahiye
vo ek shaḳhs jise nuur kā asā kahiye
jalā.e sham.a-e-qalam ham-kalām shab se thā
salīb-e-vaqt pe faa.ez vo shaḳhs kab se thā
zamir-e-waqt ki aawaz ruh-e-asr ka karb
sameTe daman-e-dil mein na jaane kab se tha
hisar-e-jabr-o-sitam mein dukhon ki basti mein
jalae shama-e-qalam ham-kalam shab se tha
harif-e-sunnat-e-azar kalim-e-jada-e-fan
sanam-kade mein muKHatib buton ke rab se tha
wo apne ahd ka mansur harf-e-haq ka naqib
salib-e-waqt pe faez wo shaKHs kab se tha
wo lab jo harf-e-sar-e-dar ka mughanni tha
jo naghma-KHwan sar-e-maqtal raha ujalon ka
ho nazm ya ki ghazal muKHtalif wo sab se tha
kamal pyar use mansab-e-adab se tha
wo ek shaKHs jise jaan-e-fikr-o-fan kahiye
jamal-e-dida-wari hurmat-e-suKHan kahiye
wo ek shaKHs jise mashal-e-nawa kahiye
wo ek shaKHs jise nur ka asa kahiye
jalae shama-e-qalam ham-kalam shab se tha
salib-e-waqt pe faez wo shaKHs kab se tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.