haidar aabaad
fazā jāñ-fazā zarra-zarra hasīñ hai
haqīqat meñ mulk-e-dakan gul-zamīñ hai
agar mehr-o-ulfat kī jannat kahīñ hai
to be-shak yahīñ hai yahīñ hai yahīñ hai
zamāna dil-āzār hai bhī to kyā ġham
mujhe terī dildāriyoñ kā yaqīñ hai
nafāsat barastī hai dīvār-o-dar se
tirī ḳhaak meñ nik.hat-e-yāsmīñ hai
tirī yaad yād-e-vatan se hai ḳhush-tar
tirā zikr taskīn-e-qalb-e-hazīñ hai
bahisht-e-nazar murġh-zār-e-ġhazālāñ
havā terī mauj-e-mai-o-angbīñ hai
bahut ḳhushnumā shahr dekhe haiñ maiñ ne
magar terā jaadū kahīñ bhī nahīñ hai
faza jaan-faza zarra-zarra hasin hai
haqiqat mein mulk-e-dakan gul-zamin hai
agar mehr-o-ulfat ki jannat kahin hai
to be-shak yahin hai yahin hai yahin hai
zamana dil-azar hai bhi to kya gham
mujhe teri dildariyon ka yaqin hai
nafasat barasti hai diwar-o-dar se
teri KHak mein nikhat-e-yasmin hai
teri yaad yaad-e-watan se hai KHush-tar
tera zikr taskin-e-qalb-e-hazin hai
bahisht-e-nazar murgh-zar-e-ghazalan
hawa teri mauj-e-mai-o-angbin hai
bahut KHushnuma shahr dekhe hain main ne
magar tera jadu kahin bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.