hairani ka bojh
miTTī kī dīvār pe ik khūñTī se laTkī
merī yādoñ kī zambīl
jis meñ chhupe the
rañg-birañge kapḌoñ ke bosīda katran
gol gol sī nannhī munnī kar dhaniyoñ ke daane
ik amrūd kī Daalī kaaT ke baabā ne jo banā.ī thī
vo teḌhī-meḌhī ek ġhulail
niile piile maTiyāle aur laal paroñ kī Dherī
chauḌe muñh kā ik muñh zor sā kaaTh kā aḌiyal ghoḌā
apnī akaḌ meñ khātā huā bagghī vaale kā koḌā
itnī muddat ba.ad jo kholī maiñ ne vo zambīl
ik nanhā is meñ se nikal kar jaise sarpaT bhāgā
dekhtā thā pīchhā hī vo apnā aur na apnā aagā
aur ulajhtā jaatā jitnā khultā lipTā dhāgā
jaise bhayānak sapne dekhe ka.ī dinoñ kā jaagā
ab ke phir vo nazar aayā to sargoshī meñ pūchhūñgā
tum to mere yaar the phir kyuuñ
sāloñ saal nahīñ milne ko
apne shu.ūr kī hairānī kā bojh uThā.e
jaane kitnī kaThin rāhoñ se guzarte ho
jag vāloñ par hañste ho yā chhup chhup aaheñ bharte ho
bastī chhoḌ ke jañgal jañgal rain baserā karte ho
yā phir ik pātāl kī nichlī tah meñ utar jā marte ho
shāyad tum bhī gautam ho aur apne aap se Darte ho
miTTi ki diwar pe ek khunTi se laTki
meri yaadon ki zambil
jis mein chhupe the
rang-birange kapDon ke bosida katran
gol gol si nannhi munni kar dhaniyon ke dane
ek amrud ki Dali kaT ke baba ne jo banai thi
wo teDhi-meDhi ek ghulail
nile pile maTiyale aur lal paron ki Dheri
chauDe munh ka ek munh zor sa kaTh ka aDiyal ghoDa
apni akaD mein khata hua bagghi wale ka koDa
itni muddat baad jo kholi main ne wo zambil
ek nanha is mein se nikal kar jaise sarpaT bhaga
dekhta tha pichha hi wo apna aur na apna aaga
aur ulajhta jata jitna khulta lipTa dhaga
jaise bhayanak sapne dekhe kai dinon ka jaga
ab ke phir wo nazar aaya to sargoshi mein puchhunga
tum to mere yar the phir kyun
salon sal nahin milne ko
apne shuur ki hairani ka bojh uThae
jaane kitni kaThin rahon se guzarte ho
jag walon par hanste ho ya chhup chhup aahen bharte ho
basti chhoD ke jangal jangal rain basera karte ho
ya phir ek patal ki nichli tah mein utar ja marte ho
shayad tum bhi gautam ho aur apne aap se Darte ho
- Book : pushtara (Pg. 208)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.