hairat hai
aurteñ jins to nahīñ hotīñ
jin ko bāzār meñ khaḌā kar do
apne har ik gunāh ke badle
in ko tāvān meñ adā kar do
apne kirdār kī girāvaT ko
aise chehroñ pe tum sajāte ho
apnī tahzīb kā hasīñ chehra
kis tarah masḳh karte jaate ho
apnī maañ bahn aur beTī kā
jis tarah maas noch khāte ho
aise be-his tamāsh-bīnoñ kī
aañkh kī raushnī pe hairat hai
aisī ġhairat ke naam par nangī
nāchtī zindagī pe hairat hai
aurten jins to nahin hotin
jin ko bazar mein khaDa kar do
apne har ek gunah ke badle
in ko tawan mein ada kar do
apne kirdar ki girawaT ko
aise chehron pe tum sajate ho
apni tahzib ka hasin chehra
kis tarah masKH karte jate ho
apni man bahn aur beTi ka
jis tarah mas noch khate ho
aise be-his tamash-binon ki
aankh ki raushni pe hairat hai
aisi ghairat ke nam par nangi
nachti zindagi pe hairat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.