hairat-kada
garebāñ se pahle ye gardan
to gardan se pahle
ye mohroñ kī ḳhud par chaḌhā.ī
qalam raushnā.ī se pahle ye uñglī
to uñglī se pahle ragoñ kī tarā.ī
sadāoñ se pahle dahan ye zabāñ
aur in se bhī pahle
ye asbī kaḌhā.ī
tamāshe se pahle ye putlī
safedī kī uryāñ tanābeñ
to is se bhī pahle
añdherī lakīroñ kī khaa.ī
safar
tujh se pahle qadam
aur is se bhī pahle
irādoñ kī hai.at-kazā.ī
mire dil meñ to terī ḳhvāhish
tirī ḳhvāhishoñ se bhī pahle
guphāoñ kā baasī tanaffus
mire jīniyātī nizāmoñ kī pahlī likhā.ī
to pahle se
pahle se
pahle kī kaisī judā.ī
gareban se pahle ye gardan
to gardan se pahle
ye mohron ki KHud par chaDhai
qalam raushnai se pahle ye ungli
to ungli se pahle ragon ki tarai
sadaon se pahle dahan ye zaban
aur in se bhi pahle
ye asbi kaDhai
tamashe se pahle ye putli
safedi ki uryan tanaben
to is se bhi pahle
andheri lakiron ki khai
safar
tujh se pahle qadam
aur is se bhi pahle
iradon ki haiat-kazai
mere dil mein to teri KHwahish
teri KHwahishon se bhi pahle
guphaon ka basi tanaffus
mere jiniyati nizamon ki pahli likhai
to pahle se
pahle se
pahle ki kaisi judai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.