hairat
pyaar tumhārā
juuhī kī beloñ se lipTā
ek darīcha
ḳhushbū ḳhushbū chāñd
tāroñ tāroñ raat kī ThanDak
sub.h kā taaza kohrā
pyāsoñ kī maqbūl duā
yā
rim-jhim rim-jhim bārish
sahrā.ī dhūpoñ se jhulsā
maiñ retīlā paikar
merī āñkheñ
miTTī patthar dhuul meñ mehmāñ manzar
jaane tum ne kyoñ kar sochā
kohre se miTTī bhīgegī
bārish meñ chahkegī dhuul
pyar tumhaara
juhi ki belon se lipTa
ek daricha
KHushbu KHushbu chand
taron taron raat ki ThanDak
subh ka taza kohra
pyason ki maqbul dua
ya
rim-jhim rim-jhim barish
sahrai dhupon se jhulsa
main retila paikar
meri aankhen
miTTi patthar dhul mein mehman manzar
jaane tum ne kyon kar socha
kohre se miTTi bhigegi
barish mein chahkegi dhul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.