haiyya haiyya
haiyyā haiyyā chāle nayyā haiyyā haiyyā
mehnat se kyā sharmānā hai sāthī re
tūfānoñ se Takrānā hai sāthī re
shaam huī ab ghar jaanā hai sāthī re
haiyyā haiyyā chāle nayyā haiyyā haiyyā
in bāñhoñ ko ham patvār banā.eñge
sāgar kī lahroñ par gaate jā.eñge
kal phir ā.eñge haañ kal phir ā.eñge
haiyyā haiyyā chāle nayyā haiyyā haiyyā
tez karo raftār kinārā duur nahīñ
ḳhush ho jaao yaar kinārā duur nahīñ
ham utreñge paar kinārā duur nahīñ
haiyyā haiyyā chāle nayyā haiyyā haiyyā
mausam hai muñh-zor havā tūfānī hai
ḳhatre kā imkān hai gahrā paanī hai
ham ne 'tāriq' haar magar kab maanī hai
haiyyā haiyyā chāle nayyā haiyyā haiyyā
haiyya haiyya chaale nayya haiyya haiyya
mehnat se kya sharmana hai sathi re
tufanon se Takrana hai sathi re
sham hui ab ghar jaana hai sathi re
haiyya haiyya chaale nayya haiyya haiyya
in banhon ko hum patwar banaenge
sagar ki lahron par gate jaenge
kal phir aaenge han kal phir aaenge
haiyya haiyya chaale nayya haiyya haiyya
tez karo raftar kinara dur nahin
KHush ho jao yar kinara dur nahin
hum utrenge par kinara dur nahin
haiyya haiyya chaale nayya haiyya haiyya
mausam hai munh-zor hawa tufani hai
KHatre ka imkan hai gahra pani hai
hum ne 'tariq' haar magar kab mani hai
haiyya haiyya chaale nayya haiyya haiyya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.