hal TeDha hai
shīshe ke badan meñ rahtā huuñ
maiñ aaj huuñ mere aage pīchhe kal haiñ
phir bhī tan-e-tanhā huuñ
hāmila miTTī ke uupar siine ke bal leTā huuñ
sar aur pair tasādum meñ haiñ
tārīkī ke pīchhe bhaag rahā huuñ
kachchī maut ke baad jūñhī zinda hotā huuñ
mere sirhāne na.ī navelī dulhan dhuup dahak uThtī hai
sar aur pair tasādum meñ haq-e-zaujiyat māthe par
sub.h savere kalima paḌh ke nahānā
fasl ke pak jaane tak khet ko paanī dete jaanā
maiñ ne yahī sunā hai
hāmila miTTī ke uupar siine ke bal leTā huuñ
bail huuñ pathrīlī khetī meñ
haañp gayā huuñ hal TeḌhā hai
ḳhassī bailoñ kī sab joḌiyāñ
pathrīle khetoñ meñ haañp chukī haiñ
biij bikherne ke aasan bhī badal chuke haiñ
jaane paidā.ish kā lamha kab aa.egā
majbūrī ke pīchhe sarpaT bhaag rahā huuñ
phīke mausamoñ aur vaqtoñ kī
umr baḌī hai haañp gayā huuñ
shishe ke badan mein rahta hun
main aaj hun mere aage pichhe kal hain
phir bhi tan-e-tanha hun
hamila miTTi ke upar sine ke bal leTa hun
sar aur pair tasadum mein hain
tariki ke pichhe bhag raha hun
kachchi maut ke baad junhi zinda hota hun
mere sirhane nai naweli dulhan dhup dahak uThti hai
sar aur pair tasadum mein haq-e-zaujiyat mathe par
subh sawere kalima paDh ke nahana
fasl ke pak jaane tak khet ko pani dete jaana
main ne yahi suna hai
hamila miTTi ke upar sine ke bal leTa hun
bail hun pathrili kheti mein
hanp gaya hun hal TeDha hai
KHassi bailon ki sab joDiyan
pathrile kheton mein hanp chuki hain
bij bikherne ke aasan bhi badal chuke hain
jaane paidaish ka lamha kab aaega
majburi ke pichhe sarpaT bhag raha hun
phike mausamon aur waqton ki
umr baDi hai hanp gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.