hum aage baDhte jaen
jīvan to bahtā dariyā hai sukh dukh is kī maujeñ
ham tum donoñ mil kar apnī pyaar kī manzil khojeñ
pahle chheḌeñ taan surīlī
phir patvār uThā.eñ
lahr lahr mastī meñ nāche
aisā naġhma gaa.eñ
ham aage baḌhte jaa.eñ ham aage baḌhte jaa.eñ
jīvan to hai ghor añdherā aur hazāroñ ghāteñ
pyaar ke sūraj se Dartī haiñ ġham kī kaalī rāteñ
duur kareñ man kā añdhiyārā
Dagar Dagar ujyārā phaile
aisā naġhma gaa.eñ
ham aage baḌhte jaa.eñ ham aage baḌhte jaa.eñ
jīvan to hai ek pahelī jo būjhe vo daanā
us ne duniyā jiit lī saarī jo ḳhud ko pahchānā
ḳhud kī ye pahchān jahāñ meñ
logoñ ko sikhlā.eñ
insānoñ kī shaan baḌhā de
aisā naġhma gaa.eñ
ham aage baḌhte jaa.eñ ham aage baḌhte jaa.eñ
jīvan to ik sannāTā hai jaise gahrā raaz
toḌegī is ḳhāmoshī ko pyaar bharī āvāz
pyaar bharī āvāz yahī ham
duniyā meñ phailā.eñ
jiinā jo āsān banā de
aisā naġhma gaa.eñ
ham aage baḌhte jaa.eñ ham aage baḌhte jaa.eñ
jīvan to maayā bandhan hai duur rahe vo jogī
is jag meñ jab ye hālat hai phir aage kyā hogī
jo baiThā hai chhoḌ ke duniyā
aao use samjhā.eñ
patthar ko jo mom banā de
aisā naġhma gaa.eñ
ham aage baḌhte jaa.eñ ham aage baḌhte jaa.eñ
jīvan to sunsān nagar hai anjānī haiñ rāheñ
prem-Dagar ko DhūñD rahī haiñ chāroñ samt nigāheñ
nazroñ kī is hairānī ko
duur kareñ muskā.eñ
āñkhoñ ko pur-kaif banā de
aisā naġhma gaa.eñ
ham aage baḌhte jaa.eñ ham aage baḌhte jaa.eñ
jiwan to bahta dariya hai sukh dukh is ki maujen
hum tum donon mil kar apni pyar ki manzil khojen
pahle chheDen tan surili
phir patwar uThaen
lahr lahr masti mein nache
aisa naghma gaen
hum aage baDhte jaen hum aage baDhte jaen
jiwan to hai ghor andhera aur hazaron ghaten
pyar ke suraj se Darti hain gham ki kali raaten
dur karen man ka andhiyara
Dagar Dagar ujyara phaile
aisa naghma gaen
hum aage baDhte jaen hum aage baDhte jaen
jiwan to hai ek paheli jo bujhe wo dana
us ne duniya jit li sari jo KHud ko pahchana
KHud ki ye pahchan jahan mein
logon ko sikhlaen
insanon ki shan baDha de
aisa naghma gaen
hum aage baDhte jaen hum aage baDhte jaen
jiwan to ek sannaTa hai jaise gahra raaz
toDegi is KHamoshi ko pyar bhari aawaz
pyar bhari aawaz yahi hum
duniya mein phailaen
jina jo aasan bana de
aisa naghma gaen
hum aage baDhte jaen hum aage baDhte jaen
jiwan to maya bandhan hai dur rahe wo jogi
is jag mein jab ye haalat hai phir aage kya hogi
jo baiTha hai chhoD ke duniya
aao use samjhaen
patthar ko jo mom bana de
aisa naghma gaen
hum aage baDhte jaen hum aage baDhte jaen
jiwan to sunsan nagar hai anjaani hain rahen
prem-Dagar ko DhunD rahi hain chaaron samt nigahen
nazron ki is hairani ko
dur karen muskaen
aankhon ko pur-kaif bana de
aisa naghma gaen
hum aage baDhte jaen hum aage baDhte jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.